tumhaari aatishi nazron ki jumbish par machalne se
tumhārī ātishī nazroñ kī jumbish par machalne se
mirī taḳhlīq kā imkāñ janam letā hai jalne se
abhī uljhā huā hai zāviya hone na hone kā
hamārā ḳhatm ho jaanā na samjhā jaa.e Dhalne se
sañbhālo dastakeñ merī ki mere baad darvāze
na.ī aahaT se ghabrā kar mukar jā.eñge khulne se
udāsī ke nisāboñ meñ hamārī khoj shāmil ho
sisak ījād hotī hai kaf-e-afsos malne se
kisī maddham diye kī lau amānat hai mire andar
maiñ aise hī nahīñ bachtā ziyāda tez chalne se
sunahre ho rahe haiñ sat.h se uThte hue bādal
tire paanī kī sohbat meñ mire kāġhaz ke galne se
tumhaari aatishi nazron ki jumbish par machalne se
meri taKHliq ka imkan janam leta hai jalne se
abhi uljha hua hai zawiya hone na hone ka
hamara KHatm ho jaana na samjha jae Dhalne se
sanbhaalo dastaken meri ki mere baad darwaze
nai aahaT se ghabra kar mukar jaenge khulne se
udasi ke nisabon mein hamari khoj shamil ho
sisak ijad hoti hai kaf-e-afsos malne se
kisi maddham diye ki lau amanat hai mere andar
main aise hi nahin bachta ziyaada tez chalne se
sunahre ho rahe hain sath se uThte hue baadal
tere pani ki sohbat mein mere kaghaz ke galne se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.