tumhaari aur meri kaj-adaiyan hi rahin
tumhārī aur mirī kaj-adā.iyāñ hī rahīñ
rahe jo paas to bāham laḌā.iyāñ hī rahīñ
zi-bas-ki karte rahe be-kasoñ pe tum bedād
sadā galī meñ tumhārī dohā.iyāñ hī rahīñ
huī na saaz mirī us kī sohbat ik shab haa.e
idhar se ijz udhar se rukhā.iyāñ hī rahīñ
dareġh yaar se bichhḌe to aise ham bichhḌe
ki tā-ba-roz-e-qayāmat judā.iyāñ hī rahīñ
ab us ke milne kā kyā lutf 'mus.hafī' bāham
na vo sulūk na vo āshnā.iyāñ hī rahīñ
tumhaari aur meri kaj-adaiyan hi rahin
rahe jo pas to baham laDaiyan hi rahin
zi-bas-ki karte rahe be-kason pe tum bedad
sada gali mein tumhaari dohaiyan hi rahin
hui na saz meri us ki sohbat ek shab hae
idhar se ijz udhar se rukhaiyan hi rahin
daregh yar se bichhDe to aise hum bichhDe
ki ta-ba-roz-e-qayamat judaiyan hi rahin
ab us ke milne ka kya lutf 'mushafi' baham
na wo suluk na wo aashnaiyan hi rahin
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-doom) (Pg. 199)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.