Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaari baaton pe kuchh eatibar tha hi nahin

Zarrin Munavvar

tumhaari baaton pe kuchh eatibar tha hi nahin

Zarrin Munavvar

MORE BYZarrin Munavvar

    tumhārī bātoñ pe kuchh e.atibār thā nahīñ

    vo jis ko pyaar kahā tum ne pyaar thā nahīñ

    maiñ kaise vaidoñ hakīmoñ se mashvare kartī

    tumhārā pyaar nasha thā buḳhār thā nahīñ

    ye merī āñkheñ tire paaoñ se lipaTtī ga.iiñ

    vagarna rāhoñ meñ koī bhī ḳhaar thā nahīñ

    maiñ dar-ba-dar na bhaTaktī to aur kyā kartī

    sivā-e-ishq koī aur kaar thā nahīñ

    maiñ maat de ke jo dushman ko apne ghar aa.ī

    kisī ke haath meñ phūloñ haar thā nahīñ

    kisī ne haath uThā.e hue the mere liye

    so merī pusht pe dushman vaar thā nahīñ

    tumhaari baaton pe kuchh eatibar tha hi nahin

    wo jis ko pyar kaha tum ne pyar tha hi nahin

    main kaise waidon hakimon se mashware karti

    tumhaara pyar nasha tha buKHar tha hi nahin

    ye meri aankhen tere paon se lipaTti gain

    wagarna rahon mein koi bhi KHar tha hi nahin

    main dar-ba-dar na bhaTakti to aur kya karti

    siwa-e-ishq koi aur kar tha hi nahin

    main mat de ke jo dushman ko apne ghar aai

    kisi ke hath mein phulon ka haar tha hi nahin

    kisi ne hath uThae hue the mere liye

    so meri pusht pe dushman ka war tha hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now