tumhaari bazm mein jo log ja ke baiThe hain
tumhārī bazm meñ jo log jā ke baiThe haiñ
nasīb daav pe apnā lagā ke baiThe haiñ
ye do-jahān ke afrād vaqt ke haiñ ġhulām
baḌe-baḌoñ ko bhī ham aazmā ke baiThe haiñ
madad ke vāste aa.egā kaun dekhnā hai
ham apnā dard sabhī ko sunā ke baiThe haiñ
hai matlabī ye zamāna kisī kā koī nahīñ
diyā umiid kā phir bhī jalā ke baiThe haiñ
nahīñ hai koī bhī dīvāngī kā zimmedār
ḳhudī kā haal ye ḳhud hī banā ke baiThe haiñ
unheñ dikhā.ī nahīñ detā mustahiq koī
jo kā.enāt kī daulat dabā ke baiThe haiñ
jo dekhtā hai vo kahtā hai mutma.in ham ko
ye aur baat ke sab kuchh luTā ke baiThe haiñ
ajiib haal hai duniyā kā ai 'sharar-naqvī'
jinheñ thā jhuknā vahī sar uThā ke baiThe haiñ
tumhaari bazm mein jo log ja ke baiThe hain
nasib daw pe apna laga ke baiThe hain
ye do-jahan ke afrad waqt ke hain ghulam
baDe-baDon ko bhi hum aazma ke baiThe hain
madad ke waste aaega kaun dekhna hai
hum apna dard sabhi ko suna ke baiThe hain
hai matlabi ye zamana kisi ka koi nahin
diya umid ka phir bhi jala ke baiThe hain
nahin hai koi bhi diwangi ka zimmedar
KHudi ka haal ye KHud hi bana ke baiThe hain
unhen dikhai nahin deta mustahiq koi
jo kaenat ki daulat daba ke baiThe hain
jo dekhta hai wo kahta hai mutmain hum ko
ye aur baat ke sab kuchh luTa ke baiThe hain
ajib haal hai duniya ka ai 'sharar-naqwi'
jinhen tha jhukna wahi sar uTha ke baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.