tumhaari bazm mein mahrum-e-jam hum bhi the
tumhārī bazm meñ mahrūm-e-jām ham bhī the
faqat raqīb nahīñ tishna-kām ham bhī the
faqīh-e-shahr ne gumrāh kar diyā varna
sifat-shanās halāl-o-harām ham bhī the
amāma-band-o-qabā-poshgāñ kā zikr hī kyā
tire huzūr meñ bā-ehtirām ham bhī the
shikasta-pā.ī-e-mīr-e-safar kā kyā shikva
ki rāh-e-shauq meñ kuchh sust-e-gām ham bhī the
tirī jafāoñ ne āzād kar diyā varna
tirī adāoñ ke adnā ġhulām ham bhī the
nigāh-e-ḳhās ne yak-laḳht kar diyā zinda
vagarna kushta-e-dastūr-e-ām ham bhī the
tumhaari bazm mein mahrum-e-jam hum bhi the
faqat raqib nahin tishna-kaam hum bhi the
faqih-e-shahr ne gumrah kar diya warna
sifat-shanas halal-o-haram hum bhi the
amama-band-o-qaba-poshgan ka zikr hi kya
tere huzur mein ba-ehtiram hum bhi the
shikasta-pai-e-mir-e-safar ka kya shikwa
ki rah-e-shauq mein kuchh sust-e-gam hum bhi the
teri jafaon ne aazad kar diya warna
teri adaon ke adna ghulam hum bhi the
nigah-e-KHas ne yak-laKHt kar diya zinda
wagarna kushta-e-dastur-e-am hum bhi the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.