tumhaari be-adai ke maze aane lage mujhko
tumhārī be-adā.ī ke maze aane lage mujh ko
jo mere dushman-e-jāñ the vo samjhāne lage mujh ko
tirī furqat meñ hālat ho ga.ī hai aaj vo merī
ye mere chāra-gar zanjīr pahnāne lage mujh ko
ḳhudāyā dekh kar un ko mujhe tujh par yaqīñ aayā
unhīñ meñ to tire jalve nazar aane lage mujh ko
diye ashkoñ ke palkoñ kī muñDeroñ par hue raushan
kabhī jo shām-e-hijrāñ aap yaad aane lage mujh ko
natīja dil ke samjhāne kā nikle bhī to kyā nikle
use samjhāne jo baiThūñ vo samjhāne lage mujh ko
na jin ke jism par sar hai na chehra hai na āñkheñ haiñ
qayāmat hai vahī ā.īna dikhlāne lage mujh ko
jo patthar pheñkne vāloñ ko maiñ ne ġhaur se dekhā
bahut se log un meñ jaane pahchāne lage mujh ko
tumhaari be-adai ke maze aane lage mujh ko
jo mere dushman-e-jaan the wo samjhane lage mujh ko
teri furqat mein haalat ho gai hai aaj wo meri
ye mere chaara-gar zanjir pahnane lage mujh ko
KHudaya dekh kar un ko mujhe tujh par yaqin aaya
unhin mein to tere jalwe nazar aane lage mujh ko
diye ashkon ke palkon ki munDeron par hue raushan
kabhi jo sham-e-hijran aap yaad aane lage mujh ko
natija dil ke samjhane ka nikle bhi to kya nikle
use samjhane jo baiThun wo samjhane lage mujh ko
na jin ke jism par sar hai na chehra hai na aankhen hain
qayamat hai wahi aaina dikhlane lage mujh ko
jo patthar phenkne walon ko main ne ghaur se dekha
bahut se log un mein jaane pahchane lage mujh ko
- Book : Tishnagi (Pg. 39)
- Author : Minu Bakshi
- Publication : Educational Publishing House (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.