tumhaari duniya ke bahar andar bhaTak raha hun
tumhārī duniyā ke bāhar andar bhaTak rahā huuñ
maiñ ba.ad-e-tark-e-jahāñ yahīñ par bhaTak rahā huuñ
maiñ tujh se milne samay se pahle pahuñch gayā thā
so tere ghar ke qarīb aa ke bhaTak rahā huuñ
maiñ ek ḳhāna-ba-dosh huuñ jis kā ghar hai duniyā
so apne kāñdhoñ pe le ke ye ghar bhaTak rahā huuñ
maiñ har qadam par sambhal sambhal kar bhaTakne vaalā
bhaTakne vāloñ se kaafī behtar bhaTak rahā huuñ
tumhaari duniya ke bahar andar bhaTak raha hun
main baad-e-tark-e-jahan yahin par bhaTak raha hun
main tujh se milne samay se pahle pahunch gaya tha
so tere ghar ke qarib aa ke bhaTak raha hun
main ek KHana-ba-dosh hun jis ka ghar hai duniya
so apne kandhon pe le ke ye ghar bhaTak raha hun
main har qadam par sambhal sambhal kar bhaTakne wala
bhaTakne walon se kafi behtar bhaTak raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.