tumhaari nazren yun barq dil pe gira rahi hain
tumhaari nazren yun barq dil pe gira rahi hain
Haidar raza Koralvi
MORE BYHaidar raza Koralvi
tumhārī nazreñ yuuñ barq dil pe girā rahī haiñ
ki soī soī sī dhaḌkanoñ ko jagā rahī haiñ
diyā mohabbat kā mere siine meñ jal rahā hai
ye chāhateñ dil se tīrgī ko miTā rahī haiñ
suno na aisī nashīlī nazroñ se mujh ko dekho
tumhārī nazreñ ye tiir ham pe chalā rahī haiñ
haqīqatan ab to apnī bāñhoñ ko do ijāzat
ki ye tasavvur meñ mujh ko siine lagā rahī haiñ
chalo chaleñ mil ke ham mohabbat ke giit gaa.eñ
suhāne mausam kī ye fazā.eñ bhī gā rahī haiñ
qarīb aao tumhāre hoñToñ ko chuum luuñ maiñ
ye dūriyāñ ab to be-qarārī baḌhā rahī haiñ
laboñ ko jumbish zarā sā kar do ki aaj 'haidar'
taḌap rahā hai ye us kī āñkheñ batā rahī haiñ
tumhaari nazren yun barq dil pe gira rahi hain
ki soi soi si dhaDkanon ko jaga rahi hain
diya mohabbat ka mere sine mein jal raha hai
ye chahaten dil se tirgi ko miTa rahi hain
suno na aisi nashili nazron se mujh ko dekho
tumhaari nazren ye tir hum pe chala rahi hain
haqiqatan ab to apni banhon ko do ijazat
ki ye tasawwur mein mujh ko sine laga rahi hain
chalo chalen mil ke hum mohabbat ke git gaen
suhane mausam ki ye fazaen bhi ga rahi hain
qarib aao tumhaare honTon ko chum lun main
ye duriyan ab to be-qarari baDha rahi hain
labon ko jumbish zara sa kar do ki aaj 'haidar'
taDap raha hai ye us ki aankhen bata rahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.