tumhaari raza mein hamari raza hai tumhein ye pata hai
tumhārī razā meñ hamārī razā hai tumheñ ye pata hai
tumhārā ḳhudā hī hamārā ḳhudā hai tumheñ ye pata hai
jo guzrā thā ham pe kabhī hādisa vo jigar meñ chhupā thā
vahī hādisa ab ubharne lagā hai tumheñ ye pata hai
ki jis ke sabab hiir rāñjhā zamāne ke dushman bane the
usī ishq kā bhuut tum par chaḌhā hai tumheñ ye pata hai
faqat ek ham hī jahāñ se alag ho ke zinda nahīñ haiñ
tumheñ bhī jahāñ se chhupā ke rakhā hai tumheñ ye pata hai
tumhārī taraf shaam hote hī ab to qadam chal paḌe haiñ
tumhārī nigāhoñ meñ ik mai-kada hai tumheñ ye pata hai
tumheñ lag rahā hai tumhāre sitam par nazar hī nahīñ hai
musalsal ḳhudā bhī tumheñ dekhtā hai tumheñ ye pata hai
purāne ḳhayāloñ ko 'sohil' rafū kar rahe ho faqat tum
jo tum ne likhā hai vo sab likh chukā hai tumheñ ye pata hai
tumhaari raza mein hamari raza hai tumhein ye pata hai
tumhaara KHuda hi hamara KHuda hai tumhein ye pata hai
jo guzra tha hum pe kabhi hadisa wo jigar mein chhupa tha
wahi hadisa ab ubharne laga hai tumhein ye pata hai
ki jis ke sabab hir ranjha zamane ke dushman bane the
usi ishq ka bhut tum par chaDha hai tumhein ye pata hai
faqat ek hum hi jahan se alag ho ke zinda nahin hain
tumhein bhi jahan se chhupa ke rakha hai tumhein ye pata hai
tumhaari taraf sham hote hi ab to qadam chal paDe hain
tumhaari nigahon mein ek mai-kada hai tumhein ye pata hai
tumhein lag raha hai tumhaare sitam par nazar hi nahin hai
musalsal KHuda bhi tumhein dekhta hai tumhein ye pata hai
purane KHayalon ko 'sohil' rafu kar rahe ho faqat tum
jo tum ne likha hai wo sab likh chuka hai tumhein ye pata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.