tumhaari shakl kisi shakl se milate hue
tumhārī shakl kisī shakl se milāte hue
maiñ kho gayā huuñ nayā rāsta banāte hue
mirā nasīb ki patjhaḌ meñ khil ga.e haiñ phuul
vo haath aa lagā hai haath āzmāte hue
maiñ jhuuT bol duuñ lekin burā to lagtā hai
tumhāre sher kisī aur ko sunāte hue
utar ke shāḳh se auroñ meñ ho gayā ābād
ki umr kaaT dī jis phuul ko khilāte hue
akelā maiñ nahīñ mujrim shab-e-visāl kā dost
thī terī phūñk bhī shāmil diyā bujhāte hue
tire jamāl kī rañgat nazar meñ rakhtā huuñ
maiñ canvās pe tasvīr-e-gul banāte hue
isī gumān meñ shab bhar sharāb piite rahe
ki ab vo haath ko rokegā haq jatāte hue
tumhaari shakl kisi shakl se milate hue
main kho gaya hun naya rasta banate hue
mera nasib ki patjhaD mein khil gae hain phul
wo hath aa laga hai hath aazmate hue
main jhuT bol dun lekin bura to lagta hai
tumhaare sher kisi aur ko sunate hue
utar ke shaKH se auron mein ho gaya aabaad
ki umr kaT di jis phul ko khilate hue
akela main nahin mujrim shab-e-visal ka dost
thi teri phunk bhi shamil diya bujhate hue
tere jamal ki rangat nazar mein rakhta hun
main canwas pe taswir-e-gul banate hue
isi guman mein shab bhar sharab pite rahe
ki ab wo hath ko rokega haq jatate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.