tumhaari tishna-nigahi ka ehtiram karen
tumhārī tishna-nigāhī kā ehtirām kareñ
furāt-e-dasht-e-tamannā tumhāre naam kareñ
ye hijr un ko milā hai unhī kī ḳhvāhish par
ab ahl-e-dard ye jiine kā ehtimām kareñ
tumhārī bazm meñ kuchh bhī samajh nahīñ aatā
kise ishāra kareñ aur kise salām kareñ
bahut zarūrī hai ye dhuup Tālne ke liye
shajar lagā ke tire falsafe ko aam kareñ
muḳhālifat bhī maza detī hai agar ham log
muḳhālifat ke usūloñ kā ehtirām kareñ
tumhāre vasl kī ḳhushiyoñ meñ dil ye kartā hai
tumhāre naam par āzād ik ġhulām kareñ
yahī to pahlā sabaq hai zamāna-gardī kā
baġhal meñ le ke chhurī muñh meñ raam raam kareñ
hisār-e-jāñ se bahut ūñchī ho ga.ī hai 'amīr'
fasīl-e-jabr girāne kā intizām kareñ
tumhaari tishna-nigahi ka ehtiram karen
furaat-e-dasht-e-tamanna tumhaare nam karen
ye hijr un ko mila hai unhi ki KHwahish par
ab ahl-e-dard ye jine ka ehtimam karen
tumhaari bazm mein kuchh bhi samajh nahin aata
kise ishaara karen aur kise salam karen
bahut zaruri hai ye dhup Talne ke liye
shajar laga ke tere falsafe ko aam karen
muKHalifat bhi maza deti hai agar hum log
muKHalifat ke usulon ka ehtiram karen
tumhaare wasl ki KHushiyon mein dil ye karta hai
tumhaare nam par aazad ek ghulam karen
yahi to pahla sabaq hai zamana-gardi ka
baghal mein le ke chhuri munh mein ram ram karen
hisar-e-jaan se bahut unchi ho gai hai 'amir'
fasil-e-jabr girane ka intizam karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.