tumhaari to bas angDai hui thi
tumhārī to bas añgḌā.ī huī thī
hamārī jaañ pe ban aa.ī huī thī
nazar ke vaar se bachnā thā mushkil
musībat gher kar laa.ī huī thī
ġhazal par maiñ ġhazal kahne lagā thā
tabī.at mauj meñ aa.ī huī thī
vo ḳhud milne chalā aayā thā jis ne
na milne kī qasam khaa.ī huī thī
bichhaḌ kar kis tarah milnā hai ham ne
use ye baat samjhā.ī huī thī
yūñhī ik roz vo bāzār aayā
phir is ke ba.ad mahñgā.ī huī thī
tumhaari to bas angDai hui thi
hamari jaan pe ban aai hui thi
nazar ke war se bachna tha mushkil
musibat gher kar lai hui thi
ghazal par main ghazal kahne laga tha
tabiat mauj mein aai hui thi
wo KHud milne chala aaya tha jis ne
na milne ki qasam khai hui thi
bichhaD kar kis tarah milna hai hum ne
use ye baat samjhai hui thi
yunhi ek roz wo bazar aaya
phir is ke baad mahngai hui thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.