tumhaari yaad hai main hun ki zindagi hai yahi
tumhārī yaad hai maiñ huuñ ki zindagī hai yahī
ma.āl-e-ġham hai yahī hāsil-e-ḳhushī hai yahī
adū pe lutf-o-karam aur mujh pe jaur-o-sitam
batā de merī vafāoñ kī tohfagī hai yahī
tumhārī diid se taskīn-e-qalb hotī hai
mirī nigāh kī bas vaj.h-e-tishnagī hai yahī
tire huzūr meñ dhūnī ramā.e baiThā huuñ
zamāna kuchh bhī kahe apnī zindagī hai yahī
kisī kī mad bharī nazroñ se pī chukā huuñ 'hayāt'
batā.ūñ kyā tumheñ bas rāz-e-be-ḳhudī hai yahī
tumhaari yaad hai main hun ki zindagi hai yahi
maal-e-gham hai yahi hasil-e-KHushi hai yahi
adu pe lutf-o-karam aur mujh pe jaur-o-sitam
bata de meri wafaon ki tohfagi hai yahi
tumhaari did se taskin-e-qalb hoti hai
meri nigah ki bas wajh-e-tishnagi hai yahi
tere huzur mein dhuni ramae baiTha hun
zamana kuchh bhi kahe apni zindagi hai yahi
kisi ki mad bhari nazron se pi chuka hun 'hayat'
bataun kya tumhein bas raaz-e-be-KHudi hai yahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.