tumhaari yaad jo aai to de ke aah gai
tumhārī yaad jo aa.ī to de ke aah ga.ī
banā ke dard ko apnā yahāñ gavāh ga.ī
palaT ke aaoge tum is liye ba-hasrat-o-yās
tumhāre pīchhe baḌī duur tak nigāh ga.ī
milā ke chhoḌ diyā āḳhirash mohabbat ne
tumhāre ghar hī ga.ī jo hamārī raah ga.ī
vo aarzū jo dabe paañv aa.ī thī dil meñ
banā ke mujh ko mire dil kā bādshāh ga.ī
na chhoḌā ham ko kahīñ kā tumhārī ulfat ne
judā.ī de ke qayāmat kā intibāh ga.ī
ye sach hai ham ne bhī aksar nibāhī hai us se
hamāre saath bhī ye zindagī nibāh ga.ī
vo ek laḌkī samajhte the nā-samajh jis ko
hamāre sher pe vo kar ke vaah vaah ga.ī
milī thī raah meñ rusvā.ī jo hameñ 'jāmī'
judā huī to ḳhushī de ke be-panāh ga.ī
tumhaari yaad jo aai to de ke aah gai
bana ke dard ko apna yahan gawah gai
palaT ke aaoge tum is liye ba-hasrat-o-yas
tumhaare pichhe baDi dur tak nigah gai
mila ke chhoD diya aaKHirash mohabbat ne
tumhaare ghar hi gai jo hamari rah gai
wo aarzu jo dabe panw aai thi dil mein
bana ke mujh ko mere dil ka baadshah gai
na chhoDa hum ko kahin ka tumhaari ulfat ne
judai de ke qayamat ka intibah gai
ye sach hai hum ne bhi aksar nibahi hai us se
hamare sath bhi ye zindagi nibah gai
wo ek laDki samajhte the na-samajh jis ko
hamare sher pe wo kar ke wah wah gai
mili thi rah mein ruswai jo hamein 'jami'
juda hui to KHushi de ke be-panah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.