tumhaari yaad ka sawan kahan se aata hai
tumhārī yaad kā sāvan kahāñ se aatā hai
ye merī jaan kā dushman kahāñ se aatā hai
sharīk-e-jām nahīñ huuñ magar ye sochtā huuñ
tirā bharā huā bartan kahāñ se aatā hai
ye pā.eleñ to mirī tab’-zād haiñ lekin
mire kalām meñ kangan kahāñ se aatā hai
falak ko dekh rahā huuñ savāl karte hue
sitāra-e-ruḳh-e-raushan kahāñ se aatā hai
tumhaari yaad ka sawan kahan se aata hai
ye meri jaan ka dushman kahan se aata hai
sharik-e-jam nahin hun magar ye sochta hun
tera bhara hua bartan kahan se aata hai
ye paelen to meri tab’-zad hain lekin
mere kalam mein kangan kahan se aata hai
falak ko dekh raha hun sawal karte hue
sitara-e-ruKH-e-raushan kahan se aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.