tumhaari yaad ka saya na hoga
tumhārī yaad kā saayā na hogā
koī bahtā huā dariyā na hogā
ye manzar bhī nazar aa.egā ik din
badan hogā koī chehrā na hogā
zamāne hoñge merī dastaras meñ
tumhāre qurb kā lamha na hogā
samundar kī tarah vo shānt lekin
lahhū us aañkh se Tapkā na hogā
faqat sannāTe meñ chīḳhā kareñge
makāñ hoñge koī bastā na hogā
tumhaari yaad ka saya na hoga
koi bahta hua dariya na hoga
ye manzar bhi nazar aaega ek din
badan hoga koi chehra na hoga
zamane honge meri dastaras mein
tumhaare qurb ka lamha na hoga
samundar ki tarah wo shant lekin
lahhu us aankh se Tapka na hoga
faqat sannaTe mein chiKHa karenge
makan honge koi basta na hoga
- Book : Aiwan (Pg. 75)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.