Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaari yaad ke har shai se nazare nikalte hain

Waseem Farhat Alig

tumhaari yaad ke har shai se nazare nikalte hain

Waseem Farhat Alig

MORE BYWaseem Farhat Alig

    tumhārī yaad ke har shai se nazāre nikalte haiñ

    jo mujh se farz chhūTe un ke kaffāre nikalte haiñ

    duāoñ asar maañ ke laboñ se phuuT paḌtā hai

    maiñ jab be-chāra hotā huuñ ka.ī chāre nikalte haiñ

    kabhī masjid be-hurmat kabhī apmān mandir

    amīr-e-shahr ke ghar se ka.ī dhāre nikalte haiñ

    kahāñ ilm kaisī degrēyāñ ye haal hai ki ab

    jahāñ sūraj talāsho ghor añdhiyāre nikalte haiñ

    yahī gar faisla hai aap to ye bhī sun liije

    hamāre saath yādoñ ke ka.ī dhāre nikalte haiñ

    tumhaari yaad ke har shai se nazare nikalte hain

    jo mujh se farz chhuTe un ke kaffare nikalte hain

    duaon ka asar man ke labon se phuT paDta hai

    main jab be-chaara hota hun kai chaare nikalte hain

    kabhi masjid ki be-hurmat kabhi apman mandir ka

    amir-e-shahr ke ghar se kai dhaare nikalte hain

    kahan ka ilm kaisi degreeyan ye haal hai ki ab

    jahan suraj talasho ghor andhiyare nikalte hain

    yahi gar faisla hai aap ka to ye bhi sun lije

    hamare sath yaadon ke kai dhaare nikalte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now