tumhaari yaad ke har shai se nazzare nikalte hain
tumhaari yaad ke har shai se nazzare nikalte hain
Waseem Farhat Alig
MORE BYWaseem Farhat Alig
tumhārī yaad ke har shai se nazzāre nikalte haiñ
jo mujh se farz chhūTe un ke kaffāre nikalte haiñ
duāoñ kā asar maañ ke laboñ se phuuT paḌtā hai
maiñ jab be-chāra hotā huuñ ka.ī chāre nikalte haiñ
kabhī be-hurmatī masjid kī aur apmān mandir kā
amīr-e-shahr ke ghar se ka.ī dhāre nikalte haiñ
kahāñ kā ilm kaisī degrēyāñ ye haal hai ki ab
jahāñ sūraj talāsho ghor añdhiyāre nikalte haiñ
yahī gar faisla hai aap kā to ye bhī sun liije
hamāre saath yādoñ ke ka.ī dhāre nikalte haiñ
tumhaari yaad ke har shai se nazzare nikalte hain
jo mujh se farz chhuTe un ke kaffare nikalte hain
duaon ka asar man ke labon se phuT paDta hai
main jab be-chaara hota hun kai chaare nikalte hain
kabhi be-hurmati masjid ki aur apman mandir ka
amir-e-shahr ke ghar se kai dhaare nikalte hain
kahan ka ilm kaisi degreeyan ye haal hai ki ab
jahan suraj talasho ghor andhiyare nikalte hain
yahi gar faisla hai aap ka to ye bhi sun lije
hamare sath yaadon ke kai dhaare nikalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.