tumhaari yaad mein aankhen bhigo raha hun main
tumhārī yaad meñ āñkheñ bhigo rahā huuñ maiñ
magar zamāna samajhtā hai ro rahā huuñ maiñ
kamāl ye hai ki ḳhud apne dil ke tāroñ meñ
hasīn ishq ke motī piro rahā huuñ maiñ
kaTī hai umr ye saarī butoñ kī ulfat meñ
magar ab apne gunāhoñ ko dho rahā huuñ maiñ
mire yaqīn kā is se hī imtihāñ hogā
bhañvar meñ ishq ke kashtī Dubo rahā huuñ maiñ
mile to us ko nishānī vo duuñ mohabbat kī
uThā ke shāne pe apne jo Dho rahā huuñ maiñ
ḳhayāl-e-ābla-pā.ī hai har qadam mujh ko
so apnī raah meñ kāñTe bhī bo rahā huuñ maiñ
lagā rahe haiñ vo mehñdī ḳhushī kī hāthoñ meñ
sukūn dil kā magar 'faiz' kho rahā huuñ maiñ
tumhaari yaad mein aankhen bhigo raha hun main
magar zamana samajhta hai ro raha hun main
kamal ye hai ki KHud apne dil ke taron mein
hasin ishq ke moti piro raha hun main
kaTi hai umr ye sari buton ki ulfat mein
magar ab apne gunahon ko dho raha hun main
mere yaqin ka is se hi imtihan hoga
bhanwar mein ishq ke kashti Dubo raha hun main
mile to us ko nishani wo dun mohabbat ki
uTha ke shane pe apne jo Dho raha hun main
KHayal-e-abla-pai hai har qadam mujh ko
so apni rah mein kanTe bhi bo raha hun main
laga rahe hain wo mehndi KHushi ki hathon mein
sukun dil ka magar 'faiz' kho raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.