tumhaari yaad mein jite tumhaara dam bharte
tumhārī yaad meñ jiite tumhārā dam bharte
ye kyā ki umr gañvā dī hai naukrī karte
na jā raqīb kī mahfil meñ raat ko tanhā
ye dekh paañv pe ham tere haath haiñ rakhte
kuchh is liye bhī use dukh meñ mirī yaad aa.ī
charāġh shaam se pahle jalā nahīñ karte
pata lagāo ḳhazāna kahāñ hai dafn ki maiñ
qil.e meñ pahuñch to jā.ūñgā mārte marte
vo kyā laḌeñge hamāre huqūq kī ḳhātir
jo log kāsa-e-darvesh tak nahīñ bharte
hamārī aañkh se aañsū bhī gir rahe hoñge
ki jin dinoñ meñ daraḳhtoñ se paat haiñ jhaḌte
agar tū ham se nigāheñ na phertā hamdam
to ham bhī ishq kisī se na dūsrā karte
bahisht chhoḌ ke duniyā ko fauqiyat degā
ravāna honā hai jis ne charāġh ke bujhte
tumhaari yaad mein jite tumhaara dam bharte
ye kya ki umr ganwa di hai naukri karte
na ja raqib ki mahfil mein raat ko tanha
ye dekh panw pe hum tere hath hain rakhte
kuchh is liye bhi use dukh mein meri yaad aai
charagh sham se pahle jala nahin karte
pata lagao KHazana kahan hai dafn ki main
qile mein pahunch to jaunga marte marte
wo kya laDenge hamare huquq ki KHatir
jo log kasa-e-darwesh tak nahin bharte
hamari aankh se aansu bhi gir rahe honge
ki jin dinon mein daraKHton se pat hain jhaDte
agar tu hum se nigahen na pherta hamdam
to hum bhi ishq kisi se na dusra karte
bahisht chhoD ke duniya ko fauqiyat dega
rawana hona hai jis ne charagh ke bujhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.