tumhaari yaad mein kuchh yun nae mausam banata hun
tumhaari yaad mein kuchh yun nae mausam banata hun
Yahya Khan Yusuf Zai
MORE BYYahya Khan Yusuf Zai
tumhārī yaad meñ kuchh yuuñ na.e mausam banātā huuñ
maiñ sahrā-e-junūñ meñ ret se shabnam banātā huuñ
vo mujh ko zaḳhm dene ke liye ḳhanjar banāte haiñ
maiñ un ko Thiik karne ke liye marham banātā huuñ
tirī sūrat nigāh-o-zehn meñ chhā.ī huī hai yaar
maiñ sub.h-o-shām tasvīroñ kā ik album banātā huuñ
maiñ ḳhud ko resha resha fikr-o-fan se oḌh letā huuñ
ġhazal ke sher kī tarkīb meñ resham banātā huuñ
ye harf-o-saut kī jādūgarī yūñhī nahīñ aatī
maiñ ḳhud ko sarf kar ke naġhma-hā-e-ġham banātā huuñ
tumhaari yaad mein kuchh yun nae mausam banata hun
main sahra-e-junun mein ret se shabnam banata hun
wo mujh ko zaKHm dene ke liye KHanjar banate hain
main un ko Thik karne ke liye marham banata hun
teri surat nigah-o-zehn mein chhai hui hai yar
main subh-o-sham taswiron ka ek album banata hun
main KHud ko resha resha fikr-o-fan se oDh leta hun
ghazal ke sher ki tarkib mein resham banata hun
ye harf-o-saut ki jadugari yunhi nahin aati
main KHud ko sarf kar ke naghma-ha-e-gham banata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.