tumhaari yaad se nikli udasi
tumhārī yaad se niklī udāsī
mujhe taslīm hai aisī udāsī
milan vo āḳhirī bhūlā na apnā
na us ke baad kī pahlī udāsī
samundar se bhī gahrā dil hamārā
hamāre dil se bhī gahrī udāsī
bahut se pairahan badle haiñ dil ne
magar āḳhir ko phir pahnī udāsī
kisī ne apne andar jazb kar lī
kisī ne chehre tak rakkhī udāsī
kisī ke lab pe hai muskān jhūTī
kisī kī shakl par farzī udāsī
koī harf-e-suḳhan tak le gayā hai
kisī ne saaz par gaa.ī udāsī
kisī taḳhlīq meñ Dhal jaa.e jab tū
har ik pahlū se hai achchhī udāsī
abhī shor-e-tarab tham jā.egā jab
hamāre qalb se gūñjī udāsī
zarā sī der ḳhushiyoñ kī fazā.eñ
phir is ke baad ik lambī udāsī
ḳhud apne aap tak simTe huoñ kī
baḌī hī duur tak phailī udāsī
udaas is baar maiñ ye soch kar huuñ
tire hote hue kaisī udāsī
udāsī ne bhī āḳhir tang aa kar
ye mujh se kah diyā itnī udāsī
'amar' hadd-e-nazar tak dekhtā huuñ
maiñ tujh meñ bas udāsī hī udāsī
tumhaari yaad se nikli udasi
mujhe taslim hai aisi udasi
milan wo aaKHiri bhula na apna
na us ke baad ki pahli udasi
samundar se bhi gahra dil hamara
hamare dil se bhi gahri udasi
bahut se pairahan badle hain dil ne
magar aaKHir ko phir pahni udasi
kisi ne apne andar jazb kar li
kisi ne chehre tak rakkhi udasi
kisi ke lab pe hai muskan jhuTi
kisi ki shakl par farzi udasi
koi harf-e-suKHan tak le gaya hai
kisi ne saz par gai udasi
kisi taKHliq mein Dhal jae jab tu
har ek pahlu se hai achchhi udasi
abhi shor-e-tarab tham jaega jab
hamare qalb se gunji udasi
zara si der KHushiyon ki fazaen
phir is ke baad ek lambi udasi
KHud apne aap tak simTe huon ki
baDi hi dur tak phaili udasi
udas is bar main ye soch kar hun
tere hote hue kaisi udasi
udasi ne bhi aaKHir tang aa kar
ye mujh se kah diya itni udasi
'amar' hadd-e-nazar tak dekhta hun
main tujh mein bas udasi hi udasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.