tumhaari yaad tumhaare KHayal ka mausam
tumhārī yaad tumhāre ḳhayāl kā mausam
hamāre dil meñ hai utrā kamāl kā mausam
falak ke chāñd kā bhī rang phīkā paḌ jaa.e
ayaañ jo ho kabhī tere jamāl kā mausam
tū ab kī ishq meñ tāsīr baḌhne vaalī hai
huā hai ḳhatm jo ye ḳhadd-o-ḳhāl kā mausam
bichhaḌte vaqt jo maiñ ne sabab nahīñ pūchhā
tamām umr rahā phir malāl kā mausam
kabhī maiñ bhuul ke ḳhud pe ġhurūr kar baiThā
shurūa tab se hai mere zavāl kā mausam
tumhaari yaad tumhaare KHayal ka mausam
hamare dil mein hai utra kamal ka mausam
falak ke chand ka bhi rang phika paD jae
ayan jo ho kabhi tere jamal ka mausam
tu ab ki ishq mein tasir baDhne wali hai
hua hai KHatm jo ye KHadd-o-KHal ka mausam
bichhaDte waqt jo main ne sabab nahin puchha
tamam umr raha phir malal ka mausam
kabhi main bhul ke KHud pe ghurur kar baiTha
shurua tab se hai mere zawal ka mausam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.