tumhaari yaadon ko ilzam dete rahte hain
tumhārī yādoñ ko ilzām dete rahte haiñ
qalam ke haath meñ kuchh kaam dete rahte haiñ
jigar ko daaġh nazar ko sarāb dil ko fareb
ham apne pyāroñ ko in.aam dete rahte haiñ
jo kaam kar na sake us ke rū-ba-rū jā kar
ġhazal ke sher meñ anjām dete rahte haiñ
dayār-e-dil ko khulā chhoḌ dete haiñ aksar
guzarne vāloñ ko ilzām dete rahte haiñ
miTāte rahte haiñ likh likh ke terā ġham dil par
aziyyatoñ ko koī kaam dete rahte haiñ
tumhaari yaadon ko ilzam dete rahte hain
qalam ke hath mein kuchh kaam dete rahte hain
jigar ko dagh nazar ko sarab dil ko fareb
hum apne pyaron ko inam dete rahte hain
jo kaam kar na sake us ke ru-ba-ru ja kar
ghazal ke sher mein anjam dete rahte hain
dayar-e-dil ko khula chhoD dete hain aksar
guzarne walon ko ilzam dete rahte hain
miTate rahte hain likh likh ke tera gham dil par
aziyyaton ko koi kaam dete rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.