tumhaari zat se mujhko lagaw hai ab tak
tumhārī zaat se mujh ko lagāv hai ab tak
tumhārī samt hī dil kā jhukāv hai ab tak
nadī meñ pyaar kī yaksāñ chaḌhāv hai ab tak
vahī hai shauq vahī dil meñ chaav hai ab tak
jo ek roz tirī be-ruḳhī ne baḳhshā thā
hamāre dil meñ salāmat vo ghaav hai ab tak
vo jis meñ pyaar kā ham ne safar kiyā thā kabhī
nadī kināre vo pyārī sī naav hai ab tak
kiyā thā va.ada jahāñ tum ne mujh se milne kā
usī maqām pe merā paḌāv hai ab tak
jo giit gaay the mil kar abhī haiñ yaad mujhe
mohabbatoñ kā vahī rakh-rakhāv hai ab tak
hamārā pyaar balī jin rivāyatoñ kī chaḌhā
mire samāj meñ vo bhed-bhāv hai ab tak
'sirāj' ham ko to us ne bhulā diyā lekin
hamāre dil meñ vafā kā alaav hai ab tak
tumhaari zat se mujh ko lagaw hai ab tak
tumhaari samt hi dil ka jhukaw hai ab tak
nadi mein pyar ki yaksan chaDhaw hai ab tak
wahi hai shauq wahi dil mein chaw hai ab tak
jo ek roz teri be-ruKHi ne baKHsha tha
hamare dil mein salamat wo ghaw hai ab tak
wo jis mein pyar ka hum ne safar kiya tha kabhi
nadi kinare wo pyari si naw hai ab tak
kiya tha wada jahan tum ne mujh se milne ka
usi maqam pe mera paDaw hai ab tak
jo git gay the mil kar abhi hain yaad mujhe
mohabbaton ka wahi rakh-rakhaw hai ab tak
hamara pyar bali jin riwayaton ki chaDha
mere samaj mein wo bhed-bhaw hai ab tak
'siraj' hum ko to us ne bhula diya lekin
hamare dil mein wafa ka alaw hai ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.