tumhaari zulf ka ho kar asir zinda hai
tumhārī zulf kā ho kar asiir zinda hai
kisī tarah se sahī ye faqīr zinda hai
makān-e-hastī kā fard-e-amīr zinda hai
maiñ zinda huuñ abhī merā zamīr zinda hai
hamārī ḳhaak bas apnī jagah pe Thahregī
chale chalo ki abhī to ḳhamīr zinda hai
vo phuul ho gayā amn-o-amān kī ḳhātir
laḌo na shaiḳh-o-barahman kabīr zinda hai
taḌaptī zindagī aḳhbār ke varaq-ba-varaq
batā rahī haiñ ye ḳhabreñ mudīr zinda hai
bayān-e-maut ne baḳhshī hayāt kitnoñ ko
'anīs' baaqī hai ab tak 'dabīr' zinda hai
ġhazal ke jism ko marne na do to baat bane
ġhazal kī ruuh meñ ai 'badr' 'mīr' zinda hai
tumhaari zulf ka ho kar asir zinda hai
kisi tarah se sahi ye faqir zinda hai
makan-e-hasti ka fard-e-amir zinda hai
main zinda hun abhi mera zamir zinda hai
hamari KHak bas apni jagah pe Thahregi
chale chalo ki abhi to KHamir zinda hai
wo phul ho gaya amn-o-aman ki KHatir
laDo na shaiKH-o-barahman kabir zinda hai
taDapti zindagi aKHbar ke waraq-ba-waraq
bata rahi hain ye KHabren mudir zinda hai
bayan-e-maut ne baKHshi hayat kitnon ko
'anis' baqi hai ab tak 'dabir' zinda hai
ghazal ke jism ko marne na do to baat bane
ghazal ki ruh mein ai 'badr' 'mir' zinda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.