tumhaari zulf ke charche pareshanon mein rahte hain
tumhaari zulf ke charche pareshanon mein rahte hain
Radhe Shiyam Rastogi Ahqar
MORE BYRadhe Shiyam Rastogi Ahqar
tumhārī zulf ke charche pareshānoñ meñ rahte haiñ
mirī dīvāngī ke zikr dīvānoñ meñ rahte haiñ
nahīñ parvā-e-īmāñ kāfirān-e-ishq ko hargiz
unheñ ka.aba se kyā matlab jo but-ḳhānoñ meñ rahte haiñ
talāsh us rashk-e-lailā kī jo rahtī hai hameñ har-dam
usī se qais ke mānind vo vīrānoñ meñ rahte haiñ
miyān-e-mahfil-e-ahbāb hai vo sham.a kī sūrat
ham us se lau lagā.e us ke parvānoñ meñ rahte haiñ
falak se baḌh ke rutba ho na kyuuñ kar qasr-e-jānāñ kā
malā.ek jis jagah adnā se darbānoñ meñ rahte haiñ
ajab hai nek sohbat kī na hotā sair insāñ meñ
mohazzab bante haiñ haivān jo insānoñ meñ rahte haiñ
na ho mazmūn aalī kyuuñ bhalā ash.ār 'ahqar' meñ
suḳhan-dānoñ se sohbat hai zabāñ-dānoñ meñ rahte haiñ
tumhaari zulf ke charche pareshanon mein rahte hain
meri diwangi ke zikr diwanon mein rahte hain
nahin parwa-e-iman kafiran-e-ishq ko hargiz
unhen kaba se kya matlab jo but-KHanon mein rahte hain
talash us rashk-e-laila ki jo rahti hai hamein har-dam
usi se qais ke manind wo viranon mein rahte hain
miyan-e-mahfil-e-ahbab hai wo shama ki surat
hum us se lau lagae us ke parwanon mein rahte hain
falak se baDh ke rutba ho na kyun kar qasr-e-jaanan ka
malaek jis jagah adna se darbanon mein rahte hain
ajab hai nek sohbat ki na hota sair insan mein
mohazzab bante hain haiwan jo insanon mein rahte hain
na ho mazmun aali kyun bhala ashaar 'ahqar' mein
suKHan-danon se sohbat hai zaban-danon mein rahte hain
- Book : Naqshha-e-rang rang (Pg. 29)
- Author : Radhe Shiyaam Ahqar
- Publication : Nami Press Lucknow (1953)
- Edition : 1953
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.