tumhaari zulf ki bahon mein ja basi shayad
tumhaari zulf ki bahon mein ja basi shayad
Khalid Nadeem Budauni
MORE BYKhalid Nadeem Budauni
tumhārī zulf kī bāhoñ meñ jā basī shāyad
hayāt mast fazāoñ meñ jā basī shāyad
mirī nigāh meñ thī arsa-e-darāz se jo
ḳhushī vo duur ḳhalāoñ meñ jā basī shāyad
samajh rahe the hiran dasht meñ samundar hai
nigāh un kī sarāboñ meñ jā basī shāyad
vo rang-o-nūr kī duniyā jo ham se chhūT ga.ī
kisī chaman kī bahāroñ meñ jā basī shāyad
mirī nigāh se aḳhtar-shumāriyāñ na ga.iiñ
mirī nigāh sitāroñ meñ jā basī shāyad
tumhaari zulf ki bahon mein ja basi shayad
hayat mast fazaon mein ja basi shayad
meri nigah mein thi arsa-e-daraaz se jo
KHushi wo dur KHalaon mein ja basi shayad
samajh rahe the hiran dasht mein samundar hai
nigah un ki sarabon mein ja basi shayad
wo rang-o-nur ki duniya jo hum se chhuT gai
kisi chaman ki bahaaron mein ja basi shayad
meri nigah se aKHtar-shumariyan na gain
meri nigah sitaron mein ja basi shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.