tumhein ab yaad aai hai meri kya
tumheñ ab yaad aa.ī hai mirī kyā
Thikāne lag ga.ī āvārgī kyā
charāġhoñ ko bujhāte phir rahe ho
tumhārā mas.ala hai raushnī kyā
tumhī shāmil nahīñ jab zindagī meñ
bhalā ham kyā hamārī zindagī kyā
tumhārā tajraba kyā kah rahā hai
karoge phir kisī se dostī kyā
isī duniyā meñ tum ho aur maiñ bhī
to ab mumkin nahīñ hai vāpsī kyā
ḳhudā maane hue ho ek but ko
karoge ab usī kī bandagī kyā
nazar rakhte ho chūzoñ par hamesha
tumhārī bhī nazar hai chiil sī kyā
muqaddar so rahā hai jaane kab se
use ghere hue hai nīstī kyā
izāfa ho rahā hai dushmanoñ meñ
musībat ban rahī hai shā.irī kyā
fasīleñ toḌ kar niklī ho ghar se
tumheñ karnā hai 'raḳhshāñ' ḳhud-kushī kyā
tumhein ab yaad aai hai meri kya
Thikane lag gai aawargi kya
charaghon ko bujhate phir rahe ho
tumhaara masala hai raushni kya
tumhi shamil nahin jab zindagi mein
bhala hum kya hamari zindagi kya
tumhaara tajraba kya kah raha hai
karoge phir kisi se dosti kya
isi duniya mein tum ho aur main bhi
to ab mumkin nahin hai wapsi kya
KHuda mane hue ho ek but ko
karoge ab usi ki bandagi kya
nazar rakhte ho chuzon par hamesha
tumhaari bhi nazar hai chil si kya
muqaddar so raha hai jaane kab se
use ghere hue hai nisti kya
izafa ho raha hai dushmanon mein
musibat ban rahi hai shairi kya
fasilen toD kar nikli ho ghar se
tumhein karna hai 'raKHshan' KHud-kushi kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.