tumhein bas ye batana chahta hun
tumheñ bas ye batānā chāhtā huuñ
maiñ tum se kyā chhupānā chāhtā huuñ
kabhī mujh se bhī koī jhūTh bolo
maiñ haañ meñ haañ milānā chāhtā huuñ
ye jo khiḌkī hai naqshe meñ tumhāre
yahāñ maiñ dar banānā chāhtā huuñ
adākārī bahut dukh de rahī hai
maiñ sach-much muskurānā chāhtā huuñ
paroñ meñ tiir hai panjoñ meñ tinke
maiñ ye chiḌiyā uḌānā chāhtā huuñ
liye baiThā huuñ ghuñghrū phuul motī
tirā hañsnā banānā chāhtā huuñ
amīrī 'ishq kī tum ko mubārak
maiñ bas khānā-kamānā chāhtā huuñ
maiñ saare shahr kī baisākhiyoñ ko
tire dar par nachānā chāhtā huuñ
tumhein bas ye batana chahta hun
main tum se kya chhupana chahta hun
kabhi mujh se bhi koi jhuTh bolo
main han mein han milana chahta hun
ye jo khiDki hai naqshe mein tumhaare
yahan main dar banana chahta hun
adakari bahut dukh de rahi hai
main sach-much muskurana chahta hun
paron mein tir hai panjon mein tinke
main ye chiDiya uDana chahta hun
liye baiTha hun ghunghru phul moti
tera hansna banana chahta hun
amiri 'ishq ki tum ko mubarak
main bas khana-kamana chahta hun
main sare shahr ki baisakhiyon ko
tere dar par nachana chahta hun
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 53)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.