tumhein bhi meri yaad aati to hogi
tumheñ bhī mirī yaad aatī to hogī
mohabbat tumheñ bhī satātī to hogī
mujhe ḳhvāb meñ tum ne dekhā to hogā
tumheñ bhī kabhī niiñd aatī to hogī
jahāñ muskurāte the tum chāñdnī meñ
vahāñ chāñdnī muskurātī to hogī
sitāroñ se naġhme baraste to hoñge
fazā sohnī ab bhī gaatī to hogī
tabī'at ke taskīn ke har sabab se
tabī'at bhī taskīn paatī to hogī
tumhārā bhī kyā haal merā sā hogā
mohabbat kahīñ raas aatī to hogī
kabhī dil kā chāhā bhī hotā to hogā
kabhī dil kī hasrat bar aatī to hogī
kisī chiiz se dil bahaltā to hogā
koī shai tabī'at ko bhātī to hogī
vo duniyā jo duniyā ne dekhī nahīñ hai
vo duniyā mohabbat dikhātī to hogī
kabhī dil kā kahnā bhī hotā to hogā
mohabbat kabhī fat.h paatī to hogī
ye duurī ke ehsās kī saḳht manzil
tasavvur ko āñkheñ dikhātī to hogī
judā.ī ke ehsās kī zulmatoñ meñ
kahīñ sham' sī jhilmilātī to hogī
jhapaktī to hoñgī kabhī dil kī āñkheñ
'zahīn' un se be-iltifātī to hogī
tumhein bhi meri yaad aati to hogi
mohabbat tumhein bhi satati to hogi
mujhe KHwab mein tum ne dekha to hoga
tumhein bhi kabhi nind aati to hogi
jahan muskuraate the tum chandni mein
wahan chandni muskuraati to hogi
sitaron se naghme baraste to honge
faza sohni ab bhi gati to hogi
tabi'at ke taskin ke har sabab se
tabi'at bhi taskin pati to hogi
tumhaara bhi kya haal mera sa hoga
mohabbat kahin ras aati to hogi
kabhi dil ka chaha bhi hota to hoga
kabhi dil ki hasrat bar aati to hogi
kisi chiz se dil bahalta to hoga
koi shai tabi'at ko bhati to hogi
wo duniya jo duniya ne dekhi nahin hai
wo duniya mohabbat dikhati to hogi
kabhi dil ka kahna bhi hota to hoga
mohabbat kabhi fath pati to hogi
ye duri ke ehsas ki saKHt manzil
tasawwur ko aankhen dikhati to hogi
judai ke ehsas ki zulmaton mein
kahin sham' si jhilmilati to hogi
jhapakti to hongi kabhi dil ki aankhen
'zahin' un se be-iltifati to hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.