tumhein daman bhigona chahiye tha
tumheñ dāman bhigonā chāhiye thā
kabhī to khul ke ronā chāhiye thā
nigāhoñ meñ bhare haiñ ḳhvāb kitne
koī manzar bhī honā chāhiye thā
tumheñ laḌiyoñ meñ yaaro āñsuoñ kī
ḳhayāloñ ko pironā chāhiye thā
jo dil meñ hai use paanī kī ḳhvāhish
to pahle ḳhud ko khonā chāhiye thā
bachāyā hai agar us ne bhañvar meñ
kināre par Dubonā chāhiye thā
zamīn-e-dil pe jab itnī hai bārish
tumheñ bhī ḳhvāb bonā chāhiye thā
'nisār' apnī haqīqat sirf miTTī
magar us ko to sonā chāhiye thā
tumhein daman bhigona chahiye tha
kabhi to khul ke rona chahiye tha
nigahon mein bhare hain KHwab kitne
koi manzar bhi hona chahiye tha
tumhein laDiyon mein yaro aansuon ki
KHayalon ko pirona chahiye tha
jo dil mein hai use pani ki KHwahish
to pahle KHud ko khona chahiye tha
bachaya hai agar us ne bhanwar mein
kinare par Dubona chahiye tha
zamin-e-dil pe jab itni hai barish
tumhein bhi KHwab bona chahiye tha
'nisar' apni haqiqat sirf miTTi
magar us ko to sona chahiye tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.