tumhein dekha auron pe ehsan karte
tumheñ dekhā auroñ pe ehsān karte
faqat rah ga.e ham hī armān karte
salīqa nahīñ jab nibhāne kā ham ko
mohabbat tujhe kyuuñ pashemān karte
tirā aa.ina bhī tirā aks bhī maiñ
tirī log mujh se hī pahchān karte
hai ye zindagī ret kā ik gharauñdā
bhalā kyuuñ havāoñ ko mehmān karte
sitam ye hai apnoñ se khāyā hai dhokā
yahī kaam ai kaash anjān karte
uḌaa.ī na āñgan se ghaḌiyāñ chahaktī
ki vīrāne ko aur sunsān karte
tumhein dekha auron pe ehsan karte
faqat rah gae hum hi arman karte
saliqa nahin jab nibhane ka hum ko
mohabbat tujhe kyun pasheman karte
tera aaina bhi tera aks bhi main
teri log mujh se hi pahchan karte
hai ye zindagi ret ka ek gharaunda
bhala kyun hawaon ko mehman karte
sitam ye hai apnon se khaya hai dhoka
yahi kaam ai kash anjaan karte
uDai na aangan se ghaDiyan chahakti
ki virane ko aur sunsan karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.