tumhein duniya ki nazron se bacha kar sath rakhna hai
tumheñ duniyā kī nazroñ se bachā kar saath rakhnā hai
mirī chāhat kā ḳhat ho tum chhupā kar saath rakhnā hai
mire āñgan meñ Thahre haiñ tumhārī yaad ke saa.e
tumhāre aane tak dil se lagā kar saath rakhnā hai
kahānī kī tarah tum ko sunā saktī nahīñ sab ko
tumheñ gītoñ ke jaise gungunā kar saath rakhnā hai
sajānā hai kabhī hāthoñ meñ mehñdī kī tarah tujh ko
kabhī āñkhoñ meñ kājal sā samā kar saath rakhnā hai
maiñ titlī kī tarah huuñ phuul ke jaisā hai tū hamdam
maiñ dil huuñ so tujhe dhaḌkan banā kar saath rakhnā hai
safar mushkil bahut hai aur manzil duur hai apnī
hameñ mushkil ko hī himmat banā kar saath rakhnā hai
tumhein duniya ki nazron se bacha kar sath rakhna hai
meri chahat ka KHat ho tum chhupa kar sath rakhna hai
mere aangan mein Thahre hain tumhaari yaad ke sae
tumhaare aane tak dil se laga kar sath rakhna hai
kahani ki tarah tum ko suna sakti nahin sab ko
tumhein giton ke jaise gunguna kar sath rakhna hai
sajaana hai kabhi hathon mein mehndi ki tarah tujh ko
kabhi aankhon mein kajal sa sama kar sath rakhna hai
main titli ki tarah hun phul ke jaisa hai tu hamdam
main dil hun so tujhe dhaDkan bana kar sath rakhna hai
safar mushkil bahut hai aur manzil dur hai apni
hamein mushkil ko hi himmat bana kar sath rakhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.