tumhein gulzar hona tha
tumheñ gulzār honā thā
hameñ to ḳhaar honā thā
vahī dushman banā apnā
ki jis ko yaar honā thā
banā kar tum ko chārāgar
hameñ lāchār honā thā
mohabbat ḳhuub thī tum se
faqat iz.hār honā thā
jahāñ nāsūr thā merā
vahīñ par vaar honā thā
ġhulāmī chhoḌ aa.e ham
hameñ sardār honā thā
masīhā ban gayā 'sāhil'
use bīmār honā thā
tumhein gulzar hona tha
hamein to KHar hona tha
wahi dushman bana apna
ki jis ko yar hona tha
bana kar tum ko chaaragar
hamein lachaar hona tha
mohabbat KHub thi tum se
faqat izhaar hona tha
jahan nasur tha mera
wahin par war hona tha
ghulami chhoD aae hum
hamein sardar hona tha
masiha ban gaya 'sahil'
use bimar hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.