tumhein itna bata dun main kisi anjam se pahle
tumhein itna bata dun main kisi anjam se pahle
Abdus Sami Siddiqui Naeem
MORE BYAbdus Sami Siddiqui Naeem
tumheñ itnā batā duuñ maiñ kisī anjām se pahle
bahut se naam ā.eñge tumhāre naam se pahle
har ik ikrām se pahle har ik in.aam se pahle
nimaTnā hai mujhe yaaro kisī ilzām se pahle
añdhere se baḌā hotā hai dekho Dar añdhere kā
charāġhoñ ko jalā rakkhā hai us ne shaam se pahle
maiñ jab shohrat ke raste par nikaltā huuñ to miltā huuñ
galī ke moḌ par baiThe kisī gumnām se pahle
'na.īm' is tarah paatā huuñ ibādat kā sharaf maiñ bhī
ḳhudā kā naam letā huuñ kisī bhī naam se pahle
tumhein itna bata dun main kisi anjam se pahle
bahut se nam aaenge tumhaare nam se pahle
har ek ikram se pahle har ek inam se pahle
nimaTna hai mujhe yaro kisi ilzam se pahle
andhere se baDa hota hai dekho Dar andhere ka
charaghon ko jala rakkha hai us ne sham se pahle
main jab shohrat ke raste par nikalta hun to milta hun
gali ke moD par baiThe kisi gumnam se pahle
'naim' is tarah pata hun ibaadat ka sharaf main bhi
KHuda ka nam leta hun kisi bhi nam se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.