tumhein jo tark-e-talluq azab lagta hai
tumheñ jo tark-e-ta'alluq 'azāb lagtā hai
qasam ḳhudā kī mujhe bhī ḳharāb lagtā hai
tū merī raat ko raushan karegā Thiik hai kar
mujhe charāġh nahīñ māhtāb lagtā hai
ye 'ishq aisā hī chaska hai kyā batā.ūñ tumheñ
jise bhī lagtā hai yeh be-hisāb lagtā hai
mizāj meñ hai abhī tak mire farāḳh-dilī
tirā shabāb abhī tak shabāb lagtā hai
sharīf logoñ kī mahfil hai yuuñ samajhiye yahāñ
sabhī ke naam ke pahle janāb lagtā hai
tumhein jo tark-e-ta'alluq 'azab lagta hai
qasam KHuda ki mujhe bhi KHarab lagta hai
tu meri raat ko raushan karega Thik hai kar
mujhe charagh nahin mahtab lagta hai
ye 'ishq aisa hi chaska hai kya bataun tumhein
jise bhi lagta hai yeh be-hisab lagta hai
mizaj mein hai abhi tak mere faraKH-dili
tera shabab abhi tak shabab lagta hai
sharif logon ki mahfil hai yun samajhiye yahan
sabhi ke nam ke pahle janab lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.