tumhein KHabar bhi na mili aur hum shikasta-haal
tumheñ ḳhabar bhī na milī aur ham shikasta-hāl
tumhāre qadmoñ kī āñdhī meñ ho ga.e pāmāl
tire badan kī mahak ne sulā diyā thā magar
havā kā andhā musāfir chalā anokhī chaal
vo ek nuur kā sailāb thā ki usī kā safar
vo ek nuqta-e-mauhūm thā ki ye bad-hāl
ajiib rañg meñ vārid huī ḳhizāñ ab ke
damakte hoñT sulagtī nazar dahakte gaal
tire karam kī to har sū mahaktī barkhā thī
hamīñ the jin ko huā bhīgā pairahan bhī vabāl
tumhein KHabar bhi na mili aur hum shikasta-haal
tumhaare qadmon ki aandhi mein ho gae pamal
tere badan ki mahak ne sula diya tha magar
hawa ka andha musafir chala anokhi chaal
wo ek nur ka sailab tha ki usi ka safar
wo ek nuqta-e-mauhum tha ki ye bad-haal
ajib rang mein warid hui KHizan ab ke
damakte honT sulagti nazar dahakte gal
tere karam ki to har su mahakti barkha thi
hamin the jin ko hua bhiga pairahan bhi wabaal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.