Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhein KHayal-e-zat hai shuur-e-zat hi nahin

Aitbar Sajid

tumhein KHayal-e-zat hai shuur-e-zat hi nahin

Aitbar Sajid

MORE BYAitbar Sajid

  tumheñ ḳhayāl-e-zāt hai shu.ūr-e-zāt nahīñ

  ḳhatā muaaf ye tumhāre bas baat nahīñ

  ġhazal fazā bhī DhūñDtī hai apne ḳhaas rañg

  hamārā mas.ala faqat qalam davāt nahīñ

  hamārī sā.atoñ ke hissa-dār aur log haiñ

  hamāre sāmne faqat hamārī zaat nahīñ

  varaq varaq pe Diary meñ āñsuoñ nam bhī hai

  ye sirf bārishoñ se bhīge kāġhzāt nahīñ

  kahāniyoñ ruup de ke ham jinheñ sunā sakeñ

  hamārī zindagī meñ aise vāqi.āt nahīñ

  kisī naam aa gayā thā yūñhī darmiyān meñ

  ab is zikr kyā kareñ jab aisī baat nahīñ

  tumhein KHayal-e-zat hai shuur-e-zat hi nahin

  KHata muaf ye tumhaare bas ki baat hi nahin

  ghazal faza bhi DhunDti hai apne KHas rang ki

  hamara masala faqat qalam dawat hi nahin

  hamari saaton ke hissa-dar aur log hain

  hamare samne faqat hamari zat hi nahin

  waraq waraq pe Diary mein aansuon ka nam bhi hai

  ye sirf barishon se bhige kaghzat hi nahin

  kahaniyon ka rup de ke hum jinhen suna saken

  hamari zindagi mein aise waqiat hi nahin

  kisi ka nam aa gaya tha yunhi darmiyan mein

  ab is ka zikr kya karen jab aisi baat hi nahin

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Unknown

  Unknown

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now