tumhein koi KHabar hai na pata hai
tumheñ koī ḳhabar hai na patā hai
mire andar koī ab tak chhupā hai
tumārī dastakeñ sab rā.egāñ haiñ
kahāñ darvāza is ghar meñ lagā hai
mirī uñglī meñ vo chhallā nahīñ hai
tumhāre naam kā bas dā.era hai
samundar meñ vahī tūfān hai phir
ki dariyā apnā hissa māñgtā hai
koī pūchhe to kyā batlā.ūñgā maiñ
jo dushman hai vo hī to ham-navā hai
tumhein koi KHabar hai na pata hai
mere andar koi ab tak chhupa hai
tumari dastaken sab raegan hain
kahan darwaza is ghar mein laga hai
meri ungli mein wo chhalla nahin hai
tumhaare nam ka bas daera hai
samundar mein wahi tufan hai phir
ki dariya apna hissa mangta hai
koi puchhe to kya batlaunga main
jo dushman hai wo hi to ham-nawa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.