tumhein kuchh ajnabi andar milenge
tumheñ kuchh ajnabī andar mileñge
ham apne shahr se bāhar mileñge
jahāñ Tapkā hai ḳhūn-e-dil hamārā
vahāñ naqshoñ bhare patthar mileñge
judā.ī ham pe shāyad munkashif ho
bichhaḌne ke liye aksar mileñge
koī āvāz dāman-gīr hogī
ka.ī chehre hameñ baḌh kar mileñge
to phir āvārgī kā kyā banegā
ham aise log jab ghar par mileñge
sipah-sālār to koī na hogā
ka.ī bikhre hue lashkar mileñge
tumhein kuchh ajnabi andar milenge
hum apne shahr se bahar milenge
jahan Tapka hai KHun-e-dil hamara
wahan naqshon bhare patthar milenge
judai hum pe shayad munkashif ho
bichhaDne ke liye aksar milenge
koi aawaz daman-gir hogi
kai chehre hamein baDh kar milenge
to phir aawargi ka kya banega
hum aise log jab ghar par milenge
sipah-salar to koi na hoga
kai bikhre hue lashkar milenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.