tumhein lagti hai duniya ajnabi kya
tumheñ lagtī hai duniyā ajnabī kyā
tabī.at ho ga.ī hai falsafī kyā
havas to hai azal se haath ḳhālī
bujhī bhī hai kisī kī tishnagī kyā
zarā sī bevafā.ī par ham us kī
bhalā toḌeñ marāsim bāhamī kyā
kahīñ takrār had se baḌh na jaa.e
kareñ is bahs ko ab multavī kyā
vo aaqil hai samajh legā ishāra
kareñ nādim use hai lāzmī kyā
buzurgoñ kī nasīhat nasl-e-nau ko
kaho to aaj lagtī hai bhalī kyā
unhīñ ke dam se the ghar meñ ujāle
baġhair un ke ho ghar meñ raushnī kyā
samajh paa.ī maiñ rahbar ke karam se
suḳhan kyā hai usūl-e-shā.irī kyā
valī haiñ 'nāzlī' vo mere murshid
muqābil un ke merī baat hī kyā
tumhein lagti hai duniya ajnabi kya
tabiat ho gai hai falsafi kya
hawas to hai azal se hath KHali
bujhi bhi hai kisi ki tishnagi kya
zara si bewafai par hum us ki
bhala toDen marasim bahami kya
kahin takrar had se baDh na jae
karen is bahs ko ab multawi kya
wo aaqil hai samajh lega ishaara
karen nadim use hai lazmi kya
buzurgon ki nasihat nasl-e-nau ko
kaho to aaj lagti hai bhali kya
unhin ke dam se the ghar mein ujale
baghair un ke ho ghar mein raushni kya
samajh pai main rahbar ke karam se
suKHan kya hai usul-e-shairi kya
wali hain 'nazli' wo mere murshid
muqabil un ke meri baat hi kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.