tumhein mere KHayal ki musawwiri qubul ho
tumheñ mire ḳhayāl kī musavvirī qubūl ho
jadīd-tar fazā-e-alf-lailavī qubūl ho
haqīqatoñ kī talḳhiyoñ ke mas.ale kuchh aur haiñ
magar ḳhayāl-o-ḳhvāb kī ye shā.irī qubūl ho
tumhārā jism ma.abad-e-tasavvur-e-nashāt hai
mufakkir-e-bahār kī ye bandagī qubūl ho
ba-vasf-e-ilm-o-fan jinheñ kabhī sukūñ na mil sakā
bahut hai gar unheñ nashāt-e-ārzī qubūl ho
hayāt ḳhud mirī hī fikr kā hasīñ tilism hai
agar jahāñ ko bhī ye sehr-e-sāmrī qubūl ho
tumhāre husn ke tufail ḳhizr-e-shahr-e-raz ko bhī
'salām' aise shā.iroñ kī kaj-ravī qubūl ho
tumhein mere KHayal ki musawwiri qubul ho
jadid-tar faza-e-alf-lailawi qubul ho
haqiqaton ki talKHiyon ke masale kuchh aur hain
magar KHayal-o-KHwab ki ye shairi qubul ho
tumhaara jism mabad-e-tasawwur-e-nashat hai
mufakkir-e-bahaar ki ye bandagi qubul ho
ba-wasf-e-ilm-o-fan jinhen kabhi sukun na mil saka
bahut hai gar unhen nashat-e-arzi qubul ho
hayat KHud meri hi fikr ka hasin tilism hai
agar jahan ko bhi ye sehr-e-samri qubul ho
tumhaare husn ke tufail KHizr-e-shahr-e-raz ko bhi
'salam' aise shairon ki kaj-rawi qubul ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.