tumhein pane ki chahat hai magar khone ka Dar bhi hai
tumheñ paane kī chāhat hai magar khone kā Dar bhī hai
ki dil shahr-e-tamannā hai to mahrūmī kā ghar bhī hai
vafā ke baaġh meñ jhūle paḌe haiñ ārzūoñ ke
duāoñ kī harī beloñ pe ḳhvāhish kā samar bhī hai
fasīl-e-fikr pe yādoñ kī qindīleñ bhī zau-afshāñ
tumhārī muntazir maiñ hī nahīñ ye chashm-e-tar bhī hai
masāfat nā-ummīdī kī paḌī hai paañv meñ mere
tumhārī ham-rahī bhī hai magar tanhā safar bhī hai
chamaktī kāñch jaisī dhaḌkanoñ ko toḌne vaalā
vo patthar dil bahut maanā huā ik shīshagar bhī hai
suno tum kah rahe the naañ duā meñ maañg lo mujh ko
magar tum soch lo merī duāoñ meñ asar bhī hai
hamārī ek ḳhāmī hai tumhārī zaat meñ khonā
tumheñ tum se churā lenā hamārā ik hunar bhī hai
suno us chāñd se kahnā mere āñgan meñ bhī utre
saḌak ke paar kachche rāste par merā ghar bhī hai
'kañval' e.azāz bhī kahtī hai is ko jurm bhī duniyā
ki badnām-e-zamāna bhī mohabbat mo'atabar bhī hai
tumhein pane ki chahat hai magar khone ka Dar bhi hai
ki dil shahr-e-tamanna hai to mahrumi ka ghar bhi hai
wafa ke bagh mein jhule paDe hain aarzuon ke
duaon ki hari belon pe KHwahish ka samar bhi hai
fasil-e-fikr pe yaadon ki qindilen bhi zau-afshan
tumhaari muntazir main hi nahin ye chashm-e-tar bhi hai
masafat na-ummidi ki paDi hai panw mein mere
tumhaari ham-rahi bhi hai magar tanha safar bhi hai
chamakti kanch jaisi dhaDkanon ko toDne wala
wo patthar dil bahut mana hua ek shishagar bhi hai
suno tum kah rahe the nan dua mein mang lo mujh ko
magar tum soch lo meri duaon mein asar bhi hai
hamari ek KHami hai tumhaari zat mein khona
tumhein tum se chura lena hamara ek hunar bhi hai
suno us chand se kahna mere aangan mein bhi utre
saDak ke par kachche raste par mera ghar bhi hai
'kanwal' eazaz bhi kahti hai is ko jurm bhi duniya
ki badnam-e-zamana bhi mohabbat mo'atabar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.