tumhein pasand hai tanha safar ziyaada-tar
tumheñ pasand hai tanhā safar ziyāda-tar
yahī rahā mire pesh-e-nazar ziyāda-tar
gumāñ ki lauT ke aa jā.eñge kisī saa.at
usī gumāñ ne ujāḌe haiñ ghar ziyāda-tar
gurez ke koī lamhe bhī aa ga.e hoñge
tumhārī yaad rahī ham-safar ziyāda-tar
dikhā.ī detī haiñ kab ḳhud ko ḳhāmiyāñ apnī
fareb khātī hai apnī nazar ziyāda-tar
kahāñ maqām vo hotā hai sar jhukāne kā
vo jis maqām pe jhukte haiñ sar ziyāda-tar
ye e'tibār kī duniyā bhī ḳhuub duniyā hai
ki mo'atabar bhī hai nā-mo'tabar ziyāda-tar
'na.īm' kaam kiye kam hī kaam ke ham ne
abas guzāre haiñ shām-o-sahar ziyāda-tar
tumhein pasand hai tanha safar ziyaada-tar
yahi raha mere pesh-e-nazar ziyaada-tar
guman ki lauT ke aa jaenge kisi saat
usi guman ne ujaDe hain ghar ziyaada-tar
gurez ke koi lamhe bhi aa gae honge
tumhaari yaad rahi ham-safar ziyaada-tar
dikhai deti hain kab KHud ko KHamiyan apni
fareb khati hai apni nazar ziyaada-tar
kahan maqam wo hota hai sar jhukane ka
wo jis maqam pe jhukte hain sar ziyaada-tar
ye e'tibar ki duniya bhi KHub duniya hai
ki mo'atabar bhi hai na-mo'tabar ziyaada-tar
'naim' kaam kiye kam hi kaam ke hum ne
abas guzare hain sham-o-sahar ziyaada-tar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.