tumhein rasm-e-wafa aai na hum tarz-e-karam samjhe
tumheñ rasm-e-vafā aa.ī na ham tarz-e-karam samjhe
ġharaz ā.īn-e-ulfat ko na tum samjhe na ham samjhe
mizāj-e-gardish-e-daurāñ agar samjhe to ham samjhe
kisī ke kākul-e-barham kā aks-e-pech-o-ḳham samjhe
jabīneñ chūmtī haiñ aaj bhī naqsh-e-qadam un ke
jo ahl-e-dil tire abrū ko mehrāb-e-haram samjhe
shu.ūr-e-bandagī hai yā ye e.ajāz-e-mohabbat hai
ki ham mahrūmiyoñ ko bhī tirā husn-e-karam samjhe
har insāñ hubb-e-duniyāvī meñ tā-hadd-e-junūñ gum hai
haqīqat ko magar duniyā kī aksar log kam samjhe
sarāb-e-zindagī se pher le nazreñ agar koī
lahū kī gardish-e-paiham nafas kā zer-o-bam samjhe
kaTī mashq-e-suḳhan meñ umr itnī phir bhī ham 'at.har'
na qadar-e-harf pahchāne na tauqīr-e-qalam samjhe
tumhein rasm-e-wafa aai na hum tarz-e-karam samjhe
gharaz aain-e-ulfat ko na tum samjhe na hum samjhe
mizaj-e-gardish-e-dauran agar samjhe to hum samjhe
kisi ke kakul-e-barham ka aks-e-pech-o-KHam samjhe
jabinen chumti hain aaj bhi naqsh-e-qadam un ke
jo ahl-e-dil tere abru ko mehrab-e-haram samjhe
shuur-e-bandagi hai ya ye eajaz-e-mohabbat hai
ki hum mahrumiyon ko bhi tera husn-e-karam samjhe
har insan hubb-e-duniyawi mein ta-hadd-e-junun gum hai
haqiqat ko magar duniya ki aksar log kam samjhe
sarab-e-zindagi se pher le nazren agar koi
lahu ki gardish-e-paiham nafas ka zer-o-bam samjhe
kaTi mashq-e-suKHan mein umr itni phir bhi hum 'athar'
na qadar-e-harf pahchane na tauqir-e-qalam samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.