tumhein tumhaare tariqe se marne ke liye
tumheñ tumhāre tarīqe se mārne ke liye
ye dil diyā tumheñ dil se utārne ke liye
tumhīñ ne chhoḌ diyā saath jab musībat meñ
kise talāsh karūñ ab pukārne ke liye
vafā kī raah meñ sab kuchh luTā diyā maiñ ne
bachā hī kyā hai mire paas hārne ke liye
na jaane kitnī mashaqqat ke saath rahtā huuñ
ai zindagī terī zulfeñ sañvārne ke liye
ġham-e-firāq meñ dil ko jalā liyā maiñ ne
tumhārī yaad meñ har shab guzārne ke liye
ye aur baat ki maiñ muskurātā rahtā huuñ
ġhamoñ kī dhuup se ḳhud ko nikhārne ke liye
chhupā ke laa.e haiñ kuchh dost āstīnoñ meñ
hamāre siine meñ ḳhanjar utārne ke liye
hamesha rakhte haiñ ham ḳhud ko bā-vazū 'raunaq'
vatan pe apne dil-o-jāñ ko vārne ke liye
tumhein tumhaare tariqe se marne ke liye
ye dil diya tumhein dil se utarne ke liye
tumhin ne chhoD diya sath jab musibat mein
kise talash karun ab pukarne ke liye
wafa ki rah mein sab kuchh luTa diya main ne
bacha hi kya hai mere pas haarne ke liye
na jaane kitni mashaqqat ke sath rahta hun
ai zindagi teri zulfen sanwarne ke liye
gham-e-firaq mein dil ko jala liya main ne
tumhaari yaad mein har shab guzarne ke liye
ye aur baat ki main muskuraata rahta hun
ghamon ki dhup se KHud ko nikhaarne ke liye
chhupa ke lae hain kuchh dost aastinon mein
hamare sine mein KHanjar utarne ke liye
hamesha rakhte hain hum KHud ko ba-wazu 'raunaq'
watan pe apne dil-o-jaan ko warne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.