tumhein tumhaari ziya mubarak hamein hamari ana mubarak
tumhein tumhaari ziya mubarak hamein hamari ana mubarak
Mitali Raj Tiwari
MORE BYMitali Raj Tiwari
tumheñ tumhārī ziyā mubārak hameñ hamārī anā mubārak
ḳhudā meñ uljhe namāziyoñ ko ḳhudā mubārak ḳhudā mubārak
mujhe patā hai ki is pate par tumheñ milegī faqat tabāhī
magar tum āshiq na.e na.e ho tumheñ sanam kā pata mubārak
bujhe charāġhoñ ke anjuman meñ mujhe mubārak ġhamoñ kī rāteñ
tumheñ mubārak nashāt ke din aur āftābī ziyā mubārak
mujhe mubārak qarīb aa kar gale lagā kar bichhaḌne vaale
tumheñ mubārak habīb saare aur un kī mehr-o-vafā mubārak
kyoñ aise mudde uThā rahe ho ki baa'd meñ koī mas.ala ho
magar jo terī yahī hai chāhat tire laboñ ko gila mubārak
tumhein tumhaari ziya mubarak hamein hamari ana mubarak
KHuda mein uljhe namaziyon ko KHuda mubarak KHuda mubarak
mujhe pata hai ki is pate par tumhein milegi faqat tabahi
magar tum aashiq nae nae ho tumhein sanam ka pata mubarak
bujhe charaghon ke anjuman mein mujhe mubarak ghamon ki raaten
tumhein mubarak nashat ke din aur aaftabi ziya mubarak
mujhe mubarak qarib aa kar gale laga kar bichhaDne wale
tumhein mubarak habib sare aur un ki mehr-o-wafa mubarak
kyon aise mudde uTha rahe ho ki ba'd mein koi masala ho
magar jo teri yahi hai chahat tere labon ko gila mubarak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.