tumhein ye wahm ishaara tumari zat se tha
tumheñ ye vahm ishāra tumārī zaat se thā
ġhalat na samjho muḳhātib maiñ kā.enāt se thā
mujhe ye ranj savād-e-mushāhidāt se thā
javāz-e-jāñ bhī yahāñ marg-e-ḳhvāhishāt se thā
na ab vo jahl na dānishvarī kī bāteñ haiñ
ki husn-e-falsafa husn-e-tanāze’āt se thā
fasād-e-shahr na thā be-sabab ki rabt us kā
ma’āshiyāt se thā yā siyāsiyāt se thā
sahar ko bād-e-sabā ne mujhe bikher diyā
maiñ apnī ḳhaak sañbhāle hue to raat se thā
bachā havā se to dhūpoñ kī zad meñ aa ke girā
vo barg-e-sabz jo mausam kī bāqiyāt se thā
ta'ayyushāt meñ samjhā gayā use nāhaq
ta'alluq us kā hamārī zarūriyāt se thā
har ek shaḳhs ko thī ḳhvāhish-e-gazand vahāñ
ki us kā daar bhī jaise tabarrukāt se thā
vo mar gayā to ḳhudā ho gayā hazāroñ kā
vo shaḳhs apne hī jaisā thā jab hayāt se thā
'ra.ūf' ḳhair ta'alluq shurū' se apnā
jamāliyāt se thā husn-e-she'riyāt se thā
tumhein ye wahm ishaara tumari zat se tha
ghalat na samjho muKHatib main kaenat se tha
mujhe ye ranj sawad-e-mushahidat se tha
jawaz-e-jaan bhi yahan marg-e-KHwahishat se tha
na ab wo jahl na danishwari ki baaten hain
ki husn-e-falsafa husn-e-tanaze’at se tha
fasad-e-shahr na tha be-sabab ki rabt us ka
ma’ashiyat se tha ya siyasiyat se tha
sahar ko baad-e-saba ne mujhe bikher diya
main apni KHak sanbhaale hue to raat se tha
bacha hawa se to dhupon ki zad mein aa ke gira
wo barg-e-sabz jo mausam ki baqiyat se tha
ta'ayyushat mein samjha gaya use nahaq
ta'alluq us ka hamari zaruriyat se tha
har ek shaKHs ko thi KHwahish-e-gazand wahan
ki us ka dar bhi jaise tabarrukat se tha
wo mar gaya to KHuda ho gaya hazaron ka
wo shaKHs apne hi jaisa tha jab hayat se tha
'rauf' KHair ta'alluq shuru' se apna
jamaliyat se tha husn-e-she'riyat se tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.