tumhin batao ki ho dil mera na kyon ghamgin
tumhīñ batāo ki ho dil mirā na kyoñ ġhamgīñ
hazār ranj-o-musībat aur ek jān-e-hazīñ
na jaane kitne nasheb-o-farāz se guzrī
magar hayāt hai yaaro abhī vahīñ kī vahīñ
kyoñ ho gayā thā ḳhafā tujh se bas yahī pūchhūñ
rah-e-hayāt meñ mil jaa.e tū mujhe jo kahīñ
kabhī to baiTh ke har baat saaf kar varna
mirā gumān pahuñchne ko hai ba-hadd-e-yaqīñ
tumhin batao ki ho dil mera na kyon ghamgin
hazar ranj-o-musibat aur ek jaan-e-hazin
na jaane kitne nasheb-o-faraaz se guzri
magar hayat hai yaro abhi wahin ki wahin
kyon ho gaya tha KHafa tujh se bas yahi puchhun
rah-e-hayat mein mil jae tu mujhe jo kahin
kabhi to baiTh ke har baat saf kar warna
mera guman pahunchne ko hai ba-hadd-e-yaqin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.